Issues

Saturday, 13 April 2024 20:01

10 Translation: Selections from Parween Shakir

Rate this item
(0 votes)

Translated into English by

S. M. Yahiya Ibrahim

Head, The Postgraduate Department of English, Karim City College,

Jamshedpur, Jharkhand, India

 


Chali hai thaam ke baadal ke haath ko khushbu

Hawa ke saath safar ka muqabla thahra

 

Holding the hand of cloud, the fragrance moves

A contest of traveling with the winds is fixed

 


Uljhan

Raat abhi tanhaee ki pahli dahleez pe hai

Aur meri janib apne haath badhati hai

Soch rahi hooN

Inko thaamuN

Zeena zeena sannatoN ke tahkhaanoN meiN utruN

Ya apne kamre meiN thahruN

Chaand meri khidki pe dastak deta hai!

 

Perplexity

The night, at this moment, is at the threshold of loneliness

And offers its hands towards me

I am thinking

to hold them

and to descend steps after steps into the caverns of stillness

or stay in my room

The moon knocks at my window!

 


Ehtiyaat

Sote meiN bhi

Chehre ko aanchal se chupaye rahti hooN

Darr lagta hai

PalkoN ki halki si larzish

HoNtoN ki maohoom si jumbish

GaaloN par rah rah ke utarne wali dhanak

Lahoo meiN chaand rachati is nannhi si khushi ka naam na le le

neeNd meiN aayi hui muskaan

kisi se dil ki baat na kah de!

 

Gingerly

While sleeping too,

in the apron string,

I hide my face.

Feel the fear

that the small trembling of the eyelids,

the faint wagging of the lips,

the intermittent downpour of opalescence on the cheeks,

may not utter the name of this infantile happiness which creates moon in the blood vessels

that the smile during the sleep

may not tell anyone the secret of heart!

 


Aitraaf

Jaane kab tak teri tasweer nigahoN meiN rahi

Ho gayee raat tere aks ko takte takte

MaeN ne phir tere tasawwur ke kisi lamhe meiN

Teri tasweer pe lab rakh diye aahista se!

 

Confession

Till when your image remained in the ogle

The night dropped gazing your reflections

Then I, in a moment of imagining you,

put my lips quietly on your photograph!

 


Kashf

HoNt be baat haNse

Zulf be wajha khuli

Khawab dikhla ke mujhe

Neend kis simt chali

Khushbu lahrayee, mere kaan meiN sargoshi ki

Apni sharmeeli haNsi maeN ne suni

Aur phir jaan gayee

Meri aaNkhoN meiN tere naam ka taara chamka!

 

Envisioning

The lips laugh uselessly

The hair unlocks unreasonably

Showing me a dream

Where does the sleep move

The fragrance twizzled, whispered in my ears

I heard my blushful laughter

And came to know

The star of your name twinkled in my eyes!

 


KaaNch Ki Surkh Choori

KaaNch ki surkh choori

Merey haath meiN

Aaj aise khanakne lagi

Jaise kal raat, shabnam se likkhi hui

Terey haath ki shokhiyoN ko

HawaoN ne sur de diyaho!

 

Red Glass Bangle

The red glass bangle

In my hands

Rattle today

As if, yesternight,

The dew-written naughtiness of your hand

has given a symphony by the breeze!

Read 474 times Last modified on Saturday, 13 April 2024 20:04
Login to post comments

SHAHEEN: The Literature Foundation is a non-profit organisation founded in memory of Syed Qutubuddin Ahmad (1930 - 2018) born at Hamzapur, Sherghati, District Gaya, Bihar.

Visitors Counter

419918
Today
This Week
This Month
All days
158
4217
12978
419918

2024-05-17 01:21

Search